Thursday, 27 September 2012


Love song for the country

Tera rang aisa chadh gaya
Koi aur rang na chadh sake
Tera naam seeney pe likha
Har koi aake padh sake

Hai Junoon hai, Hai Junoon hai
Tere ishq ka yeh Junoon hai
rag rag mein ishq tera daudta
yeh bawra sa khoon hai
Tune hi sikhaya sachaiyon ka matlab
Tere pass aake jaana maine zindagi ka maqsad
Satyamev Satyamev Satyamev Jayate
Sacha hai pyaar mera
Satyamev Jayate
Satyamev Satyamev Satyamev Jayate

Tere noor ke dastoor mein
na ho salwatein na shikan rahe
meri koshishein toh hai bas yahin
rahein khushbooein gulshan rahein

Teri zulf suljhane chala
Tere aur paas aane chala
Jahan koi sur na ho besura
Woh geet main gaane chala

Hai Junoon hai, Hai Junoon hai
Tere ishq ka ye Junoon hai
rag rag mein ishq tera daudta
yeh bawra sa khoon hai

Tune hi sikhaya Sachaiyon ka matlab
Tere pass aake jaana maine zindagi ka maqsad
Satyamev Satyamev Satyamev Jayate
Sachcha hai pyaar mera
Satyamev Jayate
Satyamev Satyamev Satyamev Jayate

Tera rang aisa chad gaya
Tha nasha jo aur bhi badh gaya
Teri baarishon ka Karam hai yeh
Mein nikhar gaya main sawar gaya

Jaisa bhi hoon apna mujhe
Mujhe ye nahin hai bolna
Kabil tere mein ban sakoon
Mujhe dwar aisa kholna

Sanson ki iss raftaar ko
Dhadkan ke iss tyohaar ko
Har jeet ko, har haar ko
Khud apne iss sansaar ko
Badloonga mein tere liye

Hai Junoon hai, Hai Junoon hai
Tere ishq ka ye Junoon hai
rag rag mein ishq tera daudta
yeh bawra sa khoon hai
Satyamev Satyamev Satyamev Jayate
sachcha hai pyaar mera
Satyamev Jayate
Satyamev Satyamev Satyamev Jayate

Mujhe khud ko bhi hai Tatolna 
Kahin hai kami to hai bolna
Kahin daag hain toh chupayein kyon
Hum sach se nazrein hatayein kyon
Khud ko badalna hai agar
Badloonga main tere liye
Sholon pe chalna hai agar
Chal doonga mein tere liye

Mere khoon ki har boond mein
Sankalp ho tere pyaar ka
Kaato mujhe toh tu bahe
Ho surkh rang har dhar ka

Hai Junoon hai, Hai Junoon hai
Tere ishq ka ye Junoon hai
rag rag mein ishq tera daudta
yeh bawra sa khoon hai
Satyamev Satyamev Satyamev Jayate
Sachcha hai pyaar mera
Satyamev Jayate

No comments:

Post a Comment